maine to umr bhar nahin dekha
maiñ ne to umr bhar nahīñ dekhā
aadmī sā zahar nahīñ dekhā
dekh Daalā qazā se aage bhī
zindagī ko magar nahīñ dekhā
aap ġhamgīñ haiñ aap ne shāyad
pyaar meñ Duub kar nahīñ dekhā
yuuñ ka.ī baar husn dekhā hai
aañkh bhar chaah bhar nahīñ dekhā
zindagī bhī nasha hai sunte haiñ
par kabhī jhuum kar nahīñ dekhā
main ne to umr bhar nahin dekha
aadmi sa zahar nahin dekha
dekh Dala qaza se aage bhi
zindagi ko magar nahin dekha
aap ghamgin hain aap ne shayad
pyar mein Dub kar nahin dekha
yun kai bar husn dekha hai
aankh bhar chah bhar nahin dekha
zindagi bhi nasha hai sunte hain
par kabhi jhum kar nahin dekha
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.