mat jiyo sirf apni KHushi ke liye
mat jiyo sirf apnī ḳhushī ke liye
koī sapnā buno zindagī ke liye
jis ke dil meñ ghanā kā ho jvālā-mukhī
vo zahar kyuuñ piye ḳhud-kushī ke liye
pat-jhaḌoñ meñ vo dil kis se bahlā.egī
kuchh to rahne do kāñTe kalī ke liye
uub jaa.eñ ziyāda ḳhushī se na ham
ġham zarūrī hai kuchh zindagī ke liye
sab ġhalat-fahmiyāñ duur ho jā.eñgī
hañs ke mil lo gale do ghaḌī ke liye
mat jiyo sirf apni KHushi ke liye
koi sapna buno zindagi ke liye
jis ke dil mein ghana ka ho jwala-mukhi
wo zahar kyun piye KHud-kushi ke liye
pat-jhaDon mein wo dil kis se bahlaegi
kuchh to rahne do kanTe kali ke liye
ub jaen ziyaada KHushi se na hum
gham zaruri hai kuchh zindagi ke liye
sab ghalat-fahmiyan dur ho jaengi
hans ke mil lo gale do ghaDi ke liye
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.