mat puchhiye ki kaise safar kaT rahe hain
mat pūchhiye ki kaise safar kaaT rahe haiñ
har saañs ik sazā hai magar kaaT rahe haiñ
ḳhāmosh āsmān ke saa.e meñ har ik baar
ham apnī hasratoñ ke hī sar kaaT rahe haiñ
kamzor chhat se aaj bhī ek iiñT girī hai
kuchh log haiñ ki phir bhī ġhadar kaaT rahe haiñ
aadhī to jiibh apne hī dāñtoñ ne katar lī
baaqī bachī ko maun adhar kaaT rahe haiñ
dekhe haiñ jab se auroñ ke bahte hue aañsū
ham apne āñsuoñ kī ḳhabar kaaT rahe haiñ
har gaañv pūchhtā hai musāfir se yahī baat
kyā tum ko bhī tumhāre nagar kaaT rahe haiñ
ab zahr ban gayā hai nayā dost hamārā
ham apne mantr kā hī asar kaaT rahe haiñ
kaise baheliye haiñ ki jo āḳhirī dam tak
ham ko uḌā rahe haiñ na par kaaT rahe haiñ
mat puchhiye ki kaise safar kaT rahe hain
har sans ek saza hai magar kaT rahe hain
KHamosh aasman ke sae mein har ek bar
hum apni hasraton ke hi sar kaT rahe hain
kamzor chhat se aaj bhi ek inT giri hai
kuchh log hain ki phir bhi ghadar kaT rahe hain
aadhi to jibh apne hi danton ne katar li
baqi bachi ko maun adhar kaT rahe hain
dekhe hain jab se auron ke bahte hue aansu
hum apne aansuon ki KHabar kaT rahe hain
har ganw puchhta hai musafir se yahi baat
kya tum ko bhi tumhaare nagar kaT rahe hain
ab zahr ban gaya hai naya dost hamara
hum apne mantr ka hi asar kaT rahe hain
kaise baheliye hain ki jo aaKHiri dam tak
hum ko uDa rahe hain na par kaT rahe hain
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 87)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.