maulwi panDit pareshan aadmi haiwan hai
maulvī panDit pareshāñ aadmī haivān hai
mulk meñ chāroñ taraf insāniyat hairān hai
kāġhazoñ ke desh kā naqsha badaltā jā rahā
kis qadar TukḌoñ meñ bikhrā apnā hindustān hai
fāsla baḌhtā nazar aane lagā hai kis tarah
phir na.ī ik jang kī ḳhātir sajā maidān hai
dab rahe ātañk meñ sab log ispanjī bane
kaise kah deñ rahnumā hālāt se anjān haiñ
sarfaroshī kī jinhoñ ne un kī yādeñ rah ga.iiñ
āsanoñ par ve haiñ jin kī kursiyāñ īmān haiñ
maulwi panDit pareshan aadmi haiwan hai
mulk mein chaaron taraf insaniyat hairan hai
kaghazon ke desh ka naqsha badalta ja raha
kis qadar TukDon mein bikhra apna hindustan hai
fasla baDhta nazar aane laga hai kis tarah
phir nai ek jang ki KHatir saja maidan hai
dab rahe aatank mein sab log ispanji bane
kaise kah den rahnuma haalat se anjaan hain
sarfaroshi ki jinhon ne un ki yaaden rah gain
aasanon par we hain jin ki kursiyan iman hain
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 62)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.