mausam ka man par koi adhikar nahin
mausam kā man par koī adhikār nahīñ
bādal haiñ par bārish ke āsār nahīñ
bastī meñ kuchh log na maare jaate hoñ
yaad hameñ aisā koī tyauhār nahīñ
pyār-mohabbat sīdhe-sāde raste nahīñ
koī in par chalne ko tayyār nahīñ
sab man kī kamzorī hotī hai varna
gir na sake aisī koī dīvār nahīñ
logoñ se ummīd nahīñ sach boleñge
sach sunñe ko jab koī tayyār nahīñ
haar usūloñ kī ḳhātir to hai manzūr
jiinā hameñ par shartoñ par svīkār nahīñ
jaane kyuuñ ab shā.er ke hoñToñ par bhī
dil ko chhū lene vaale ash.ār nahīñ
mausam ka man par koi adhikar nahin
baadal hain par barish ke aasar nahin
basti mein kuchh log na mare jate hon
yaad hamein aisa koi tyauhaar nahin
pyar-mohabbat sidhe-sade raste nahin
koi in par chalne ko tayyar nahin
sab man ki kamzori hoti hai warna
gir na sake aisi koi diwar nahin
logon se ummid nahin sach bolenge
sach sunne ko jab koi tayyar nahin
haar usulon ki KHatir to hai manzur
jina hamein par sharton par swikar nahin
jaane kyun ab shaer ke honTon par bhi
dil ko chhu lene wale ashaar nahin
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.