mujh be-KHabar ke waste itni KHabar hai aur
mujh be-ḳhabar ke vāste itnī ḳhabar hai aur
aadhā safar guzar gayā aadhā safar hai aur
ye baat marhabā ye mulāqāt marhabā
tū aisā ham-safar hai ki jis kā asar hai aur
ham ek saath rah ke haiñ kitne judā judā
merī nazar hai aur tumhārī nazar hai aur
har rahguzar pe chaltā huuñ lagtā hai ye magar
tujh tak pahuñchne vaalī koī rahguzar hai aur
fankār koī 'ashk' nahīñ hai kisī se kam
us meñ hunar hai aur to mujh meñ hunar hai aur
mujh be-KHabar ke waste itni KHabar hai aur
aadha safar guzar gaya aadha safar hai aur
ye baat marhaba ye mulaqat marhaba
tu aisa ham-safar hai ki jis ka asar hai aur
hum ek sath rah ke hain kitne juda juda
meri nazar hai aur tumhaari nazar hai aur
har rahguzar pe chalta hun lagta hai ye magar
tujh tak pahunchne wali koi rahguzar hai aur
fankar koi 'ashk' nahin hai kisi se kam
us mein hunar hai aur to mujh mein hunar hai aur
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad-part-2
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.