musafir mushkilon mein hi tujhe phir DhunDhna hoga
musāfir mushkiloñ meñ hī tujhe phir DhūñDnā hogā
tirī uljhan kā bhī āḳhir koī to rāsta hogā
ye kaliyāñ phuul ban kar itnī jaldī khil nahīñ pātīñ
ḳhayāloñ meñ nigāhoñ meñ inheñ us ne chhuā hogā
zarā chalne se pahle dekh le kashtī are māñjhī
bahut mumkin hai sāgar meñ koī tūfāñ uThā hogā
tumhīñ kyuuñ baaḌh meñ be-ghar hue duujā nahīñ koī
nadī ke taT kī baalū par tumhārā ghar rahā hogā
tajarba hai mujhe is kā kabhī bhī aazmā lenā
bharose meñ luTe bhī to tumhārā fā.eda hogā
mujhe lagtā hai jaane kyuuñ ḳhudā ko dekhne vaalā
koī buDDhā nahīñ hogā koī bachcha rahā hogā
musafir mushkilon mein hi tujhe phir DhunDna hoga
teri uljhan ka bhi aaKHir koi to rasta hoga
ye kaliyan phul ban kar itni jaldi khil nahin patin
KHayalon mein nigahon mein inhen us ne chhua hoga
zara chalne se pahle dekh le kashti are manjhi
bahut mumkin hai sagar mein koi tufan uTha hoga
tumhin kyun baDh mein be-ghar hue duja nahin koi
nadi ke taT ki baalu par tumhaara ghar raha hoga
tajarba hai mujhe is ka kabhi bhi aazma lena
bharose mein luTe bhi to tumhaara faeda hoga
mujhe lagta hai jaane kyun KHuda ko dekhne wala
koi buDDha nahin hoga koi bachcha raha hoga
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 262)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.