mushkilen tham gain dard kam ho gaya
mushkileñ tham ga.iiñ dard kam ho gayā
ab zamāne kā ġham apnā ġham ho gayā
rāste ne musāfir se kyā kah diyā
inqalāb-e-safar har qadam ho gayā
jab kaTe haath bhī le ke parcham uḌe
tuk sitamgar ne samjhā sitam ho gayā
jis qalam ne likhā inqilāban alif
vo qalam sar na thā sar qalam ho gayā
raushnī ab añdhere kī hamrāz hai
jo na hotā thā vo ek dam ho gayā
zehn se ziist tak surḳh-rū thā magar
ḳhvāb āñkhoñ meñ utrā to nam ho gayā
vaqt to āsmāñ ko jhukā detā hai
sar to sar hī hai thoḌā sā ḳham ho gayā
mere ba.ad aane vāloñ se kahnā 'shalabh'
ek begāna duniyā meñ kam ho gayā
mushkilen tham gain dard kam ho gaya
ab zamane ka gham apna gham ho gaya
raste ne musafir se kya kah diya
inqalab-e-safar har qadam ho gaya
jab kaTe hath bhi le ke parcham uDe
tuk sitamgar ne samjha sitam ho gaya
jis qalam ne likha inqilaban alif
wo qalam sar na tha sar qalam ho gaya
raushni ab andhere ki hamraaz hai
jo na hota tha wo ek dam ho gaya
zehn se zist tak surKH-ru tha magar
KHwab aankhon mein utra to nam ho gaya
waqt to aasman ko jhuka deta hai
sar to sar hi hai thoDa sa KHam ho gaya
mere baad aane walon se kahna 'shalabh'
ek begana duniya mein kam ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.