naw ko har bala se bachana bhi hai
naav ko har balā se bachānā bhī hai
paar lagnā bhī hai aur lagānā bhī hai
yaad agar ham rakheñge to mar jā.eñge
is liye hādsoñ ko bhulānā bhī hai
kyā anokhā hai kirdār insān kā
sūfiyāna bhī hai vahshiyāna bhī hai
ġhair kī bazm meñ vo yuuñ hī to nahīñ
is kā maqsad mirā dil dukhānā bhī hai
koī saanī nahīñ us ke andāz kā
dostāna bhī hai qātilāna bhī hai
naw ko har bala se bachana bhi hai
par lagna bhi hai aur lagana bhi hai
yaad agar hum rakhenge to mar jaenge
is liye hadson ko bhulana bhi hai
kya anokha hai kirdar insan ka
sufiyana bhi hai wahshiyana bhi hai
ghair ki bazm mein wo yun hi to nahin
is ka maqsad mera dil dukhana bhi hai
koi sani nahin us ke andaz ka
dostana bhi hai qatilana bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.