nai sawan ki rut aai hai dekho
na.ī sāvan kī rut aa.ī hai dekho
chalī shītal sī purvā.ī hai dekho
papīhā boltā gaatā sunā hai
ghaTā kaalī kahīñ chhā.ī hai dekho
suhānī sī chalī aa.ī ye rim-jhim
sabhī ke man sadā bhaa.ī hai dekho
barastī buuñd bārish kī badan meñ
anokhī tāzgī laa.ī hai dekho
balam pardesh se aayā nahīñ to
sajan kī yaad phir aa.ī hai dekho
machī dil meñ anokhī sī tarañgeñ
kisī ne hiir phir gaa.ī hai dekho
sunā hai jab se tum aaoge 'mohan'
ghaḌī bhar vo na so paa.ī hai dekho
nai sawan ki rut aai hai dekho
chali shital si purwai hai dekho
papiha bolta gata suna hai
ghaTa kali kahin chhai hai dekho
suhani si chali aai ye rim-jhim
sabhi ke man sada bhai hai dekho
barasti bund barish ki badan mein
anokhi tazgi lai hai dekho
balam pardesh se aaya nahin to
sajan ki yaad phir aai hai dekho
machi dil mein anokhi si tarangen
kisi ne hir phir gai hai dekho
suna hai jab se tum aaoge 'mohan'
ghaDi bhar wo na so pai hai dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.