naya chand suraj naya chahta hun
nayā chāñd sūraj nayā chāhtā huuñ
ik achchhā sā ab maiñ ḳhudā chāhtā huuñ
maiñ apne zehan kī hī tañg ik galī meñ
ghirā huuñ koī rāsta chāhtā huuñ
sune haiñ bahut us ke charche magar ab
use rū-ba-rū dekhnā chāhtā huuñ
mere paañv kī bhaTkaneñ thak chukī haiñ
maiñ manzil kā ab kuchh patā chāhtā huuñ
ye kahte hue dam diyā toḌ us ne
ki mehnat kā apnī sila chāhtā huuñ
chakā-chauñdh is raushnī ke shahar meñ
ik āñgan sitāroñ bharā chāhtā huuñ
tirī ḳhūbiyoñ meñ abhī dekhtā maiñ
koī baat sab se judā chāhtā huuñ
na jiine kā Dhab hai na marne kī jur.at
'salil' jaane karnā maiñ kyā chāhtā huuñ
naya chand suraj naya chahta hun
ek achchha sa ab main KHuda chahta hun
main apne zehan ki hi tang ek gali mein
ghira hun koi rasta chahta hun
sune hain bahut us ke charche magar ab
use ru-ba-ru dekhna chahta hun
mere panw ki bhaTkanen thak chuki hain
main manzil ka ab kuchh pata chahta hun
ye kahte hue dam diya toD us ne
ki mehnat ka apni sila chahta hun
chaka-chaundh is raushni ke shahar mein
ek aangan sitaron bhara chahta hun
teri KHubiyon mein abhi dekhta main
koi baat sab se juda chahta hun
na jine ka Dhab hai na marne ki jurat
'salil' jaane karna main kya chahta hun
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.