nazar ke tasarruf se qaem hain sare
nazar ke tasarruf se qaa.em haiñ saare
ye dhartī ke chehre falak ke nazāre
koī ḳhauf qadmoñ kī zanjīr ban kar
use kah rahā thā kināre kināre
zamān o makāñ kī ḳhabar hai ye hastī
haqīqat ne DhūñDe haiñ kyā isti.āre
mere jism se merī pahchān kyā ho
ye kapḌe ka.ī baar pahne utāre
khulī aañkh kī niiñd sab so rahe haiñ
nazāre kahāñ rah ga.e haiñ nazāre
mohabbat kī maujeñ agar darmiyāñ haiñ
to phir duur kyuuñ haiñ nadī ke kināre
abhī dhuup ruḳhsat huī hī thī 'tanhā'
koī aa gayā saath le kar sitāre
nazar ke tasarruf se qaem hain sare
ye dharti ke chehre falak ke nazare
koi KHauf qadmon ki zanjir ban kar
use kah raha tha kinare kinare
zaman o makan ki KHabar hai ye hasti
haqiqat ne DhunDe hain kya istiare
mere jism se meri pahchan kya ho
ye kapDe kai bar pahne utare
khuli aankh ki nind sab so rahe hain
nazare kahan rah gae hain nazare
mohabbat ki maujen agar darmiyan hain
to phir dur kyun hain nadi ke kinare
abhi dhup ruKHsat hui hi thi 'tanha'
koi aa gaya sath le kar sitare
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.