nind gahri mein sulata kaun hai
niiñd gahrī meñ sulātā kaun hai
chhoḌ kar ye jism jaatā kaun hai
bhuul jaanā chāhtā huuñ maiñ jise
yaad us kī hī dilātā kaun hai
ye pata chaltā nahīñ hai ishq meñ
kaun paatā hai luTātā kaun hai
rauñd kar gul pyaar ke is mulk meñ
ḳhaar nafrat ke ugātā kaun hai
shaam se hī aa rahī haiñ hichkiyāñ
giit merā gungunātā kaun hai
kis ko fursat aaj ke is daur meñ
ruuTh jaane par manātā kaun hai
mol apne āñsuoñ kā jāniye
motiyoñ ko yuuñ girātā kaun hai
bujh ga.e jalte hue saare diye
āñdhiyoñ se ab bachātā kaun hai
raag apne aur apnī Daphliyāñ
piiTh duujī thapthapātā kaun hai
ham kise āvāz deñ 'nīraj' batā
dekh kar bad-hāl aatā kaun hai
nind gahri mein sulata kaun hai
chhoD kar ye jism jata kaun hai
bhul jaana chahta hun main jise
yaad us ki hi dilata kaun hai
ye pata chalta nahin hai ishq mein
kaun pata hai luTata kaun hai
raund kar gul pyar ke is mulk mein
KHar nafrat ke ugata kaun hai
sham se hi aa rahi hain hichkiyan
git mera gungunata kaun hai
kis ko fursat aaj ke is daur mein
ruTh jaane par manata kaun hai
mol apne aansuon ka jaaniye
motiyon ko yun giraata kaun hai
bujh gae jalte hue sare diye
aandhiyon se ab bachata kaun hai
rag apne aur apni Daphliyan
piTh duji thapthapata kaun hai
hum kise aawaz den 'niraj' bata
dekh kar bad-haal aata kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.