pir chhupla kar masarrat ko bayan karta raha
piir chhuplā kar masarrat ko bayāñ kartā rahā
dost mere dostī meñ tū daġhā kartā rahā
maiñ 'ibārat jo kabhī bhī harf bhar badlī nahīñ
har koī apnī tarah se tarjuma kartā rahā
jis bashar ko thī dalīleñ sunñe kī fursat nahīñ
vo hamārī zindagī kā faisla kartā rahā
dair meñ aayā bhagat karne ko rab kā shukriya
par vo to lahja badal shikva-gila kartā rahā
zarf miTTī kā thā sone sā gumāñ kartā rahā
thā faqat raajā jise ye jag ḳhudā kartā rahā
pir chhupla kar masarrat ko bayan karta raha
dost mere dosti mein tu dagha karta raha
main 'ibarat jo kabhi bhi harf bhar badli nahin
har koi apni tarah se tarjuma karta raha
jis bashar ko thi dalilen sunne ki fursat nahin
wo hamari zindagi ka faisla karta raha
dair mein aaya bhagat karne ko rab ka shukriya
par wo to lahja badal shikwa-gila karta raha
zarf miTTi ka tha sone sa guman karta raha
tha faqat raja jise ye jag KHuda karta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.