pas-e-manzar ko manzar kah rahe hain
pas-e-manzar ko manzar kah rahe haiñ
dar-o-dīvār ko ghar kah rahe haiñ
kahīñ se ek qatra maañg laa.e
usī ko ham samundar kah rahe haiñ
huā parvāz se mahrūm koī
yahāñ bikhre hue par kah rahe haiñ
zarā vo āsmāñ ko chuum aayā
sabhī us ko muqaddar kah rahe haiñ
pas-e-manzar ko manzar kah rahe hain
dar-o-diwar ko ghar kah rahe hain
kahin se ek qatra mang lae
usi ko hum samundar kah rahe hain
hua parwaz se mahrum koi
yahan bikhre hue par kah rahe hain
zara wo aasman ko chum aaya
sabhi us ko muqaddar kah rahe hain
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.