patthar bana daya to mili ye saza mujhe
patthar banā diyā to milī ye sazā mujhe
chupke se sañg-tarāsh uThā le gayā mujhe
ḳhushbū meñ Duub jā.eñgī yādoñ kī Dāliyāñ
hoñToñ pe phuul rakh ke kabhī sochnā mujhe
paanī ḳharīdne lage bādal bhī aaj kal
bārish meñ bhīgnā bhī lagā be-maza mujhe
ghar meñ hoñ jab charāġh to phir āñdhiyāñ bhī hoñ
lenā paḌā dabāv meñ ye faisla mujhe
hāthoñ kī kuchh lakīreñ badaltī huī milīñ
lagtā hai us ne ḳhvāb meñ kal chhū liyā mujhe
patthar bana diya to mili ye saza mujhe
chupke se sang-tarash uTha le gaya mujhe
KHushbu mein Dub jaengi yaadon ki Daliyan
honTon pe phul rakh ke kabhi sochna mujhe
pani KHaridne lage baadal bhi aaj kal
barish mein bhigna bhi laga be-maza mujhe
ghar mein hon jab charagh to phir aandhiyan bhi hon
lena paDa dabaw mein ye faisla mujhe
hathon ki kuchh lakiren badalti hui milin
lagta hai us ne KHwab mein kal chhu liya mujhe
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.