phir kisi ko ek dil-e-kafir-ada deta hun main
phir kisi ko ek dil-e-kafir-ada deta hun main
Shamsher Bahadur Singh
MORE BYShamsher Bahadur Singh
phir kisī ko ik dil-e-kāfir-adā detā huuñ maiñ
zinda huuñ aur apne ḳhāliq ko duā detā huuñ maiñ
be-ḳhudī meñ dard kī daulat luTā detā huuñ maiñ
jab ziyāda hotī hai mai to laḌā detā huuñ maiñ
apne hī qadr-e-ḳhudī kī pur-takalluf lazzateñ
aap kyā lete haiñ mujh se aur kyā detā huuñ maiñ
ishq kī majbūriyāñ haiñ husn kī bechārgī
rū-e-ālam dekhiyegā ā.īna detā huuñ maiñ
ārzuoñ kī bayābānī hai aur ḳhāmoshiyāñ
zindagī ko kyuuñ sabāt-e-naqsh-e-pā detā huuñ maiñ
phir kisi ko ek dil-e-kafir-ada deta hun main
zinda hun aur apne KHaliq ko dua deta hun main
be-KHudi mein dard ki daulat luTa deta hun main
jab ziyaada hoti hai mai to laDa deta hun main
apne hi qadr-e-KHudi ki pur-takalluf lazzaten
aap kya lete hain mujh se aur kya deta hun main
ishq ki majburiyan hain husn ki bechaargi
ru-e-alam dekhiyega aaina deta hun main
aarzuon ki bayabani hai aur KHamoshiyan
zindagi ko kyun sabaat-e-naqsh-e-pa deta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.