phulon ka apna koi pariwar nahin hota
phūloñ kā apnā koī parivār nahīñ hotā
ḳhushbū kā apnā koī ghar duvār nahīñ hotā
ham guzre kal kī ā.ankhoñ kā sapnā hī to haiñ
kyuuñ māneñ sapnā koī sākār nahīñ hotā
is duniyā meñ achchhe logoñ kā hī bahumat hai
aisā agar na hotā ye sansār nahīñ hotā
kitne hī achchhe hoñ kāġhaz paanī ke rishte
kāġhaz kī naav se dariyā paar nahīñ hotā
himmat haare to sab kuchh nā-mumkin lagtā hai
himmat kar leñ to kuchh bhī dushvār nahīñ hotā
ve dīvāreñ ghar jaisā sammān nahīñ pātīñ
jin meñ koī khiḌkī koī duvār nahīñ hotā
phulon ka apna koi pariwar nahin hota
KHushbu ka apna koi ghar duwar nahin hota
hum guzre kal ki aaankhon ka sapna hi to hain
kyun manen sapna koi sakar nahin hota
is duniya mein achchhe logon ka hi bahumat hai
aisa agar na hota ye sansar nahin hota
kitne hi achchhe hon kaghaz pani ke rishte
kaghaz ki naw se dariya par nahin hota
himmat haare to sab kuchh na-mumkin lagta hai
himmat kar len to kuchh bhi dushwar nahin hota
we diwaren ghar jaisa samman nahin patin
jin mein koi khiDki koi duwar nahin hota
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.