qaid-KHane mein yun beDiyan baj uThin
qaid-ḳhāne meñ yuuñ beḌiyāñ baj uThīñ
jaise mandir meñ sab ghanTiyāñ baj uThīñ
ye havā kaun sā giit gaane lagī
Dāliyāñ jhuum uThīñ patiyāñ baj uThīñ
maun thiiñ jab talak vo kināre pe thiiñ
dekhte hī bhañvar kashtiyāñ baj uThīñ
kis ke qadmoñ kī aahaT milī hai inheñ
mere kamre kī kyuuñ khiḌkiyāñ baj uThīñ
jab samundar ne tum ko pukārā nahīñ
kyuuñ nadī terī gahrā.iyāñ baj uThīñ
jugnuo tum zarā ye batāo mujhe
kyuuñ charāġhoñ kī ḳhāmoshiyāñ baj uThīñ
mere chāroñ taraf be-zabāñ dhuup hai
kis ke āñgan meñ parchhā.iyāñ baj uThīñ
qaid-KHane mein yun beDiyan baj uThin
jaise mandir mein sab ghanTiyan baj uThin
ye hawa kaun sa git gane lagi
Daliyan jhum uThin patiyan baj uThin
maun thin jab talak wo kinare pe thin
dekhte hi bhanwar kashtiyan baj uThin
kis ke qadmon ki aahaT mili hai inhen
mere kamre ki kyun khiDkiyan baj uThin
jab samundar ne tum ko pukara nahin
kyun nadi teri gahraiyan baj uThin
jugnuo tum zara ye batao mujhe
kyun charaghon ki KHamoshiyan baj uThin
mere chaaron taraf be-zaban dhup hai
kis ke aangan mein parchhaiyan baj uThin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.