rahon se jitne pyar se manzil ne baat ki
rāhoñ se jitne pyaar se manzil ne baat kī
yuuñ dil se mere aap ke bhī dil ne baat kī
phir dhaḌkanoñ ne dhaḌkanoñ kī baat ko sunā
yuuñ chuppi.on meñ rah ke bhī mahfil ne baat kī
hairat meñ sirf maiñ hī nahīñ aap bhī to the
jab mere haq meñ ik mirī mushkil ne baat kī
us paar tum the aur maiñ is paar thā magar
sāhil se jaise dūsre sāhil ne baat kī
ḳhud apnā chehra dekh ke vo kitnā Dar gayā
jis vaqt apne aap se qātil ne baat kī
rahon se jitne pyar se manzil ne baat ki
yun dil se mere aap ke bhi dil ne baat ki
phir dhaDkanon ne dhaDkanon ki baat ko suna
yun chuppion mein rah ke bhi mahfil ne baat ki
hairat mein sirf main hi nahin aap bhi to the
jab mere haq mein ek meri mushkil ne baat ki
us par tum the aur main is par tha magar
sahil se jaise dusre sahil ne baat ki
KHud apna chehra dekh ke wo kitna Dar gaya
jis waqt apne aap se qatil ne baat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.