raat din uske tamashe dekhta rahta hun main
raat din us ke tamāshe dekhtā rahtā huuñ maiñ
kyā batā.ūñ kis qadar hairat-zada rahtā huuñ maiñ
jāntā huuñ ye havā mujh ko uḌā le jā.egī
bāñdhtā phir bhī nahīñ ḳhud ko khulā rahtā huuñ maiñ
chāñd sūraj qumqumoñ ne kyā bigāḌā hai mirā
raushnī vāloñ se itnā kyuuñ ḳhafā rahtā huuñ maiñ
bañdh ga.e haiñ abr kuchh dāman se mere is tarah
koī bhī mausam ho chāhe bhīgtā rahtā huuñ maiñ
sūrateñ jo āshnā thiiñ ho ga.iiñ dhu.dlī sabhī
ab to bas parchhā.iyoñ se hī ghirā rahtā huuñ maiñ
dastakeñ to chhoḌiye āvāz bhī lāzim nahīñ
''maiñ huuñ darvāza mohabbat kā khulā rahtā huuñ maiñ''
raat din us ke tamashe dekhta rahta hun main
kya bataun kis qadar hairat-zada rahta hun main
jaanta hun ye hawa mujh ko uDa le jaegi
bandhta phir bhi nahin KHud ko khula rahta hun main
chand suraj qumqumon ne kya bigaDa hai mera
raushni walon se itna kyun KHafa rahta hun main
bandh gae hain abr kuchh daman se mere is tarah
koi bhi mausam ho chahe bhigta rahta hun main
suraten jo aashna thin ho gain dhudli sabhi
ab to bas parchhaiyon se hi ghira rahta hun main
dastaken to chhoDiye aawaz bhi lazim nahin
main hun darwaza mohabbat ka khula rahta hun main
- Book : Harigandha (April-May-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.