rafta rafta mere andar ek KHala bharne laga
rafta rafta mere andar ik ḳhalā bharne lagā
kal kā sehat-mand insāñ dam-ba-dam marne lagā
shukr hai vo mujh ko apnā dost kahtā hai magar
ab pareshāñ huuñ ki vo kuchh kuchh vafā karne lagā
ghul gayā hai ik nayā-pan sā mire māhaul meñ
ek insāñ dūsre se ḳhud-ba-ḳhud Darne lagā
kyā huā thā is jagah ye to ibādat-gāh hai
kyuuñ hamārī aañkh meñ kaḌvā dhuāñ bharne lagā
phir vahī ḳheme qabīle phir vahī TakrāhaTeñ
phūltā phaltā tamaddun nā-gahāñ marne lagā
rafta rafta mere andar ek KHala bharne laga
kal ka sehat-mand insan dam-ba-dam marne laga
shukr hai wo mujh ko apna dost kahta hai magar
ab pareshan hun ki wo kuchh kuchh wafa karne laga
ghul gaya hai ek naya-pan sa mere mahaul mein
ek insan dusre se KHud-ba-KHud Darne laga
kya hua tha is jagah ye to ibaadat-gah hai
kyun hamari aankh mein kaDwa dhuan bharne laga
phir wahi KHeme qabile phir wahi TakrahaTen
phulta phalta tamaddun na-gahan marne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.