raushni ka na dhuen ka hi pata deta hai
raushnī kā na dhueñ kā hī patā detā hai
koī ḳhvāboñ ke mahl yuuñ bhī jalā detā hai
aa ki phir ahd-e-mulāqāt kī tajdīd kareñ
itnī jaldī koī apnoñ ko bhulā detā hai
ham kahāñ jā.eñge jazbāt kā shīsha le kar
lafz patthar kā to har shaḳhs chalā detā hai
un kī āñkhoñ ke samundar pe zarā ġhaur karo
do kināroñ ko jo aapas meñ milā detā hai
dil vo TuuTā huā mandir hai kisī bastī kā
jis ko ḳhud us kā pujārī hī girā detā hai
ham ne to ghar kī vo dīvār bhī ūñchī kar dī
ab to bekār vo 'shohrat' ko sadā detā hai
raushni ka na dhuen ka hi pata deta hai
koi KHwabon ke mahl yun bhi jala deta hai
aa ki phir ahd-e-mulaqat ki tajdid karen
itni jaldi koi apnon ko bhula deta hai
hum kahan jaenge jazbaat ka shisha le kar
lafz patthar ka to har shaKHs chala deta hai
un ki aankhon ke samundar pe zara ghaur karo
do kinaron ko jo aapas mein mila deta hai
dil wo TuTa hua mandir hai kisi basti ka
jis ko KHud us ka pujari hi gira deta hai
hum ne to ghar ki wo diwar bhi unchi kar di
ab to bekar wo 'shohrat' ko sada deta hai
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.