roz apne aap se mansub hona sikhiye
roz apne aap se mansūb honā sīkhiye
aap sūraj kī tarah maġhrūb honā sīkhiye
log samjheñge tapish kī ahmiyat na jab talak
aap kuchh kuchh sardiyoñ kī dhuup honā sīkhiye
muddatoñ vaalā nikah phir se nayā ho jā.egā
aap shauhar ḳhuub haiñ mā'shūq honā sīkhiye
pur-sukūñ bītegī chāhe ho qayāmat kā safar
ajnabī logoñ se gar mānūs honā sīkhiye
sañgsārī to zamāne kā purānā shauq hai
dil ke shīshoñ se kahīñ mazbūt honā sīkhiye
roz apne aap se mansub hona sikhiye
aap suraj ki tarah maghrub hona sikhiye
log samjhenge tapish ki ahmiyat na jab talak
aap kuchh kuchh sardiyon ki dhup hona sikhiye
muddaton wala nikah phir se naya ho jaega
aap shauhar KHub hain ma'shuq hona sikhiye
pur-sukun bitegi chahe ho qayamat ka safar
ajnabi logon se gar manus hona sikhiye
sangsari to zamane ka purana shauq hai
dil ke shishon se kahin mazbut hona sikhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.