simTa hun to simTa patthar hone tak
simTā huuñ to simTā patthar hone tak
aur jo bikhrā bikhrā zarre zarre tak
maiñ janmoñ se ghar kā rasta bhūlā thā
chhoḌ gayā koī rahbar darvāze tak
sochoge to der bahut ho jā.egī
kaT jā.eñge jangal sādhū hone tak
jīvan kā har pahlū dekhā hai ham ne
maḳhmal ke bistar se le kar neze tak
apne ghar ko phailāne kī ḳhātir ham
le aa.e haiñ pīpal ko bhī gamle tak
fasleñ nīchī ūñchī qarz kisānoñ par
bhuul ga.e haiñ baisākhī ke mele tak
simTa hun to simTa patthar hone tak
aur jo bikhra bikhra zarre zarre tak
main janmon se ghar ka rasta bhula tha
chhoD gaya koi rahbar darwaze tak
sochoge to der bahut ho jaegi
kaT jaenge jangal sadhu hone tak
jiwan ka har pahlu dekha hai hum ne
maKHmal ke bistar se le kar neze tak
apne ghar ko phailane ki KHatir hum
le aae hain pipal ko bhi gamle tak
faslen nichi unchi qarz kisanon par
bhul gae hain baisakhi ke mele tak
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.