siyahiyon ka taraf-dar ho nahin sakta
siyāhiyoñ kā taraf-dār ho nahīñ saktā
mire ḳhilāf mirā yaar ho nahīñ saktā
karam kiye haiñ bahut maiñ ne ye pata hai use
vo merī raah kī dīvār ho nahīñ saktā
ab us ko dekh ke hairat meñ haiñ jo kahte the
masīhā to kabhī bīmār ho nahīñ saktā
ise chalāne kā fan bas mujhe hī aatā hai
mire safīne se to paar ho nahīñ saktā
ye tiir sīdhe mirī piiTh meñ lagā hai 'kaif'
mire harīf kā ye vaar ho nahīñ saktā
siyahiyon ka taraf-dar ho nahin sakta
mere KHilaf mera yar ho nahin sakta
karam kiye hain bahut main ne ye pata hai use
wo meri rah ki diwar ho nahin sakta
ab us ko dekh ke hairat mein hain jo kahte the
masiha to kabhi bimar ho nahin sakta
ise chalane ka fan bas mujhe hi aata hai
mere safine se to par ho nahin sakta
ye tir sidhe meri piTh mein laga hai 'kaif'
mere harif ka ye war ho nahin sakta
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.