soch KHud hi main ki tu aape se bahar kaun hai
soch ḳhud hī maiñ ki tū aape se bāhar kaun hai
hai ġhalat-fahmī tujhe tere barābar kaun hai
rakkhūñ sar godī meñ us kī aur āñkheñ miich luuñ
phir karūñ mahsūs mere dil ke andar kaun hai
jal meñ jal mil jā.egā to kaun ye batlā.egā
is meñ dariyā kaun sā hai aur samundar kaun hai
jab paḌosī ne hī mere mujh se nazreñ pher liiñ
to mujhe āvāz dene vaalā dar par kaun hai
vo ghaḌī bhī aa.egī jab ye pata chal jā.egā
ham meñ shīsha kaun sā hai aur patthar kaun hai
ye patā karnā hai mushkil dostoñ kī bhiiḌ meñ
dushman-e-jāñ kaun hai aur merā dilbar kaun hai
soch KHud hi main ki tu aape se bahar kaun hai
hai ghalat-fahmi tujhe tere barabar kaun hai
rakkhun sar godi mein us ki aur aankhen mich lun
phir karun mahsus mere dil ke andar kaun hai
jal mein jal mil jaega to kaun ye batlaega
is mein dariya kaun sa hai aur samundar kaun hai
jab paDosi ne hi mere mujh se nazren pher lin
to mujhe aawaz dene wala dar par kaun hai
wo ghaDi bhi aaegi jab ye pata chal jaega
hum mein shisha kaun sa hai aur patthar kaun hai
ye pata karna hai mushkil doston ki bhiD mein
dushman-e-jaan kaun hai aur mera dilbar kaun hai
- Book : Harigandha (April-May-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.