suno ab yun hi chalne do na koi shart bandho
suno ab yuuñ hī chalne do na koī shart bāñdho
mujhe gir kar sambhalne do na koī shart bāñdho
patañgeñ to uḌeñgī hī vo purvā ho ki pachhuā
havā ko ruḳh badalne do na koī shart bāñdho
subah ko kyā pata pūjā-gharoñ ke kaam aa.e
diyā jaltā hai jalne do na koī shart bāñdho
nadī ban kar ke bahtī hai shikhar kī barf hai ye
ise yuuñ hī pighalne do na koī shart bāñdho
ye sapne haiñ inheñ hī dekh kar aage baḌhāo
inheñ āñkhoñ meñ palne do na koī shart bāñdho
ye ghar ke phuul hī mahkā.eñge saare jahāñ ko
inheñ bāhar nikalne do na koī shart bāñdho
hai jab tak chāñdnī kī mai ye chanda kī surāhī
'kuñvar' ye jaam Dhalne do na koī shart bāñdho
suno ab yun hi chalne do na koi shart bandho
mujhe gir kar sambhalne do na koi shart bandho
patangen to uDengi hi wo purwa ho ki pachhua
hawa ko ruKH badalne do na koi shart bandho
subah ko kya pata puja-gharon ke kaam aae
diya jalta hai jalne do na koi shart bandho
nadi ban kar ke bahti hai shikhar ki barf hai ye
ise yun hi pighalne do na koi shart bandho
ye sapne hain inhen hi dekh kar aage baDhao
inhen aankhon mein palne do na koi shart bandho
ye ghar ke phul hi mahkaenge sare jahan ko
inhen bahar nikalne do na koi shart bandho
hai jab tak chandni ki mai ye chanda ki surahi
'kunwar' ye jam Dhalne do na koi shart bandho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.