suraj hai aasman pe ujala zamin par
sūraj hai āsmāñ pe ujālā zamīn par
hai āsmāñ kā aaj bhī pahrā zamīn par
aayā thā kal jo ḳhuld se aadam kī shakl meñ
dikhtā nahīñ hai aaj vo chehra zamīn par
qudrat ke intizām ko taqsīm kar diyā
ham ne banā ke mulkoñ kā naqsha zamīn par
duniyā se hī to miltā hai jannat kā rāsta
dikhtā nahīñ hai vaise to ziina zamīn par
ham se to dekh bhaal bhī us kī na ho sakī
purkhe utaar laa.e the gangā zamīn par
hai murġh ko gumān ki us kī hī baañg se
hotā hai roz ek saverā zamīn par
suraj hai aasman pe ujala zamin par
hai aasman ka aaj bhi pahra zamin par
aaya tha kal jo KHuld se aadam ki shakl mein
dikhta nahin hai aaj wo chehra zamin par
qudrat ke intizam ko taqsim kar diya
hum ne bana ke mulkon ka naqsha zamin par
duniya se hi to milta hai jannat ka rasta
dikhta nahin hai waise to zina zamin par
hum se to dekh bhaal bhi us ki na ho saki
purkhe utar lae the ganga zamin par
hai murgh ko guman ki us ki hi bang se
hota hai roz ek sawera zamin par
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.