taDapte dil ko sukun ka pata mile na mile
taḌapte dil ko sukūñ kā pata mile na mile
tumhāre dard se behtar davā mile na mile
mire gunāh kī mujh ko sazā milegī zarūr
mirī vafāoñ kā mujh ko sila mile na mile
mire gunāh meñ shāmil mirā zamīr bhī thā
ye aur baat ki is ko sazā mile na mile
tum apne haath kā patthar yahīñ pe ḳharch karo
phir is ke baad tumheñ aa.ina mile na mile
chalo ham aaj ye qissa yahīñ pe ḳhatm kareñ
ki ḳhud ulajh ke bhī ham ko sirā mile na mile
taDapte dil ko sukun ka pata mile na mile
tumhaare dard se behtar dawa mile na mile
mere gunah ki mujh ko saza milegi zarur
meri wafaon ka mujh ko sila mile na mile
mere gunah mein shamil mera zamir bhi tha
ye aur baat ki is ko saza mile na mile
tum apne hath ka patthar yahin pe KHarch karo
phir is ke baad tumhein aaina mile na mile
chalo hum aaj ye qissa yahin pe KHatm karen
ki KHud ulajh ke bhi hum ko sira mile na mile
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 435)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.