Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere ishq mein humne dil ko jalaya

Badrinath Upadhyay 'Prem Dhan'

tere ishq mein humne dil ko jalaya

Badrinath Upadhyay 'Prem Dhan'

MORE BYBadrinath Upadhyay 'Prem Dhan'

    tere ishq meñ ham ne dil ko jalāyā

    qasam sar tere mazā kuchh na aayā

    nazar ḳhaar shakl aate haiñ sab gul

    in āñkhoñ meñ jab se aakar samāyā

    asar ho na kyuuñ dil meñ dil se jo chāhe

    masal sach hai jo us ko DhūñDā vo paayā

    chaman meñ hai barsāt aamad aamad

    ahā āsmāñ par siyah abr chhāyā

    machāyā hai moroñ ne kyā shor-e-mahshar

    papīhoñ ne kyā pur-ġhazab raT lagāyā

    tujhe shaiḳh jis ne banāyā hai momin

    hameñ bhī hai hindū usī ne banāyā

    tere ishq mein hum ne dil ko jalaya

    qasam sar ki tere maza kuchh na aaya

    nazar KHar ki shakl aate hain sab gul

    in aankhon mein jab se tu aakar samaya

    asar ho na kyun dil mein dil se jo chahe

    masal sach hai jo us ko DhunDa wo paya

    chaman mein hai barsat ki aamad aamad

    aha aasman par siyah abr chhaya

    machaya hai moron ne kya shor-e-mahshar

    papihon ne kya pur-ghazab raT lagaya

    tujhe shaiKH jis ne banaya hai momin

    hamein bhi hai hindu usi ne banaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now