tha kabhi kuchh na kuchh hai ab mera
thā kabhī kuchh na kuchh hai ab merā
phir bhī lagtā hai sab kā sab hai merā
āsmāñ bhī jhuke to baat bane
ye zamīñ kar chukī adab merā
naam kuchh bhī ho aadmī huuñ maiñ
aur tū bhī hai ham-nasab merā
jaane kyā kuchh hai naqsha chehre par
hāl-e-dil pūchhte haiñ sab merā
mere shauq-e-anā-darāzī se
mujh pe TuuTā hai har ġhazab merā
hai man-o-tū kā farq bhī kyā farq
tujh se hai jo bhī hai nasab merā
ā.īñe se bhī Dar rahā huuñ 'abhay'
haal hai aaj kuchh ajab merā
tha kabhi kuchh na kuchh hai ab mera
phir bhi lagta hai sab ka sab hai mera
aasman bhi jhuke to baat bane
ye zamin kar chuki adab mera
nam kuchh bhi ho aadmi hun main
aur tu bhi hai ham-nasab mera
jaane kya kuchh hai naqsha chehre par
haal-e-dil puchhte hain sab mera
mere shauq-e-ana-daraazi se
mujh pe TuTa hai har ghazab mera
hai man-o-tu ka farq bhi kya farq
tujh se hai jo bhi hai nasab mera
aaine se bhi Dar raha hun 'abhay'
haal hai aaj kuchh ajab mera
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.