tera kyon aashiqi mein dil lagega
tirā kyoñ 'āshiqī meñ dil lagegā
tirā bas be-ruḳhī meñ dil lagegā
agar nafrat bhulā kar pyaar bāñTūñ
jahāñ kī har ḳhushī meñ dil lagegā
mohabbat tum mirī taslīm kar lo
tumhārā zindagī meñ dil lagegā
charāġhoñ sā jalā hai jo musalsal
to kaise raushnī meñ dil lagegā
kisī husn-e-balā se haar pā kar
hamārī shā'irī meñ dil lagegā
agar urdu zabāñ ko siikh loge
ġhazal kī chāshnī meñ dil lagegā
kisī ne dil agar zaḳhmī kiyā hai
ġhamoñ kī raushnī meñ dil lagegā
agar zulfoñ ke saa.e saath hoñge
to 'ātish' tīrgī meñ dil lagegā
tera kyon 'ashiqi mein dil lagega
tera bas be-ruKHi mein dil lagega
agar nafrat bhula kar pyar banTun
jahan ki har KHushi mein dil lagega
mohabbat tum meri taslim kar lo
tumhaara zindagi mein dil lagega
charaghon sa jala hai jo musalsal
to kaise raushni mein dil lagega
kisi husn-e-bala se haar pa kar
hamari sha'iri mein dil lagega
agar urdu zaban ko sikh loge
ghazal ki chashni mein dil lagega
kisi ne dil agar zaKHmi kiya hai
ghamon ki raushni mein dil lagega
agar zulfon ke sae sath honge
to 'atish' tirgi mein dil lagega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.