tumko nihaarti hun subh se raat bhar
tum ko nihārtī huuñ subah se maiñ raat bhar
ab shaam ho rahī hai magar man nahīñ bharā
ḳhargosh ban ke dauḌ rahe haiñ tamām ḳhvāb
phirtā hai chāñdnī meñ koī sach Darā Darā
paudhe jhulas ga.e haiñ magar ek baat hai
merī nazar meñ ab bhī chaman hai harā harā
lambī surang sī hai tirī zindagī to bol
maiñ jis jagah khaḌā huuñ vahāñ hai koī sirā
māthe pe rakh ke haath bahut sochte ho tum
gangā qasam batāo hameñ kyā hai mājrā
tum ko nihaarti hun subah se main raat bhar
ab sham ho rahi hai magar man nahin bhara
KHargosh ban ke dauD rahe hain tamam KHwab
phirta hai chandni mein koi sach Dara Dara
paudhe jhulas gae hain magar ek baat hai
meri nazar mein ab bhi chaman hai hara hara
lambi surang si hai teri zindagi to bol
main jis jagah khaDa hun wahan hai koi sira
mathe pe rakh ke hath bahut sochte ho tum
ganga qasam batao hamein kya hai majra
- Book : saaye mein dhoop (Pg. 46)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna private limited (1975,1995)
- Edition : 1975,1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.