tu apne dard ki apne hi tarjumani kar
tū apne dard kī apne hī tarjumānī kar
na mere saath bahut juḌ na mere saath bikhar
tujhe zamīñ kī kashish bhī na rok pā.egī
yahāñ Dhalān bahut hai zarā sambhal ke utar
nahīñ to tū bhī siyāhī ko maan legā nasīb
zarā sī dhuup uThā aur apnī añg meñ bhar
yahāñ kī bhiiḌ bhī gahrī nadī ke jaise hai
bahut se log nahīñ jā sake idhar se udhar
tu apne dard ki apne hi tarjumani kar
na mere sath bahut juD na mere sath bikhar
tujhe zamin ki kashish bhi na rok paegi
yahan Dhalan bahut hai zara sambhal ke utar
nahin to tu bhi siyahi ko man lega nasib
zara si dhup uTha aur apni ang mein bhar
yahan ki bhiD bhi gahri nadi ke jaise hai
bahut se log nahin ja sake idhar se udhar
- Book : Lafz Magazine-August To Octobar-2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.