us ek shai se mere dhyan ka nasha TuTa
us ek shai se mire dhyān kā nasha TuuTā
na jaane haath se kyā chhūTā jaane kyā TuuTā
lagā ki jaise mile hoñ ham ek umr ke ba.ad
tamām raat na bātoñ kā silsila TuuTā
pahāḌ barf ke āvāra pāniyoñ se kaTe
jagah jagah pe milā mujh ko rāsta TuuTā
harā bharā thā shikāyat na thī kisī se use
havā badalte hī us kā bhī aasrā TuuTā
use talāsh thī apne hī ek lamhe kī
vo baar baar ka.ī lamhoñ se juḌā TuuTā
tū us ke saath juḌī taar taar TūTegī
vo shaḳhs apnī hadoñ meñ agar zarā TuuTā
us ek shai se mere dhyan ka nasha TuTa
na jaane hath se kya chhuTa jaane kya TuTa
laga ki jaise mile hon hum ek umr ke baad
tamam raat na baaton ka silsila TuTa
pahaD barf ke aawara paniyon se kaTe
jagah jagah pe mila mujh ko rasta TuTa
hara bhara tha shikayat na thi kisi se use
hawa badalte hi us ka bhi aasra TuTa
use talash thi apne hi ek lamhe ki
wo bar bar kai lamhon se juDa TuTa
tu us ke sath juDi tar tar TuTegi
wo shaKHs apni hadon mein agar zara TuTa
- Book : Lafz Magazine-August To Octobar-2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.