yaad hai hum ko tera wo ghar lauTna
yaad hai ham ko terā vo ghar lauTnā
phir na jaanā isī shart par lauTnā
tū jo aayā to chehre ka.ī khil uThe
kitnā mushkil hai aisī sahar lauTnā
vo vatan kī hifāzat ko ghar se chalā
maañ ne hañs kar kahā jiit kar lauTnā
kyuuñ bhalā ham kisī kī ḳhushāmad kareñ
kyā zarūrī hai phir se udhar lauTnā
jā tirī bad-ḳhayālī se bāhar haiñ ham
ab to mushkil hai terā asar lauTnā
ham ne uḌte hue tā.eroñ se kahā
jaao phir se isī shāḳh par lauTnā
yaad hai hum ko tera wo ghar lauTna
phir na jaana isi shart par lauTna
tu jo aaya to chehre kai khil uThe
kitna mushkil hai aisi sahar lauTna
wo watan ki hifazat ko ghar se chala
man ne hans kar kaha jit kar lauTna
kyun bhala hum kisi ki KHushamad karen
kya zaruri hai phir se udhar lauTna
ja teri bad-KHayali se bahar hain hum
ab to mushkil hai tera asar lauTna
hum ne uDte hue taeron se kaha
jao phir se isi shaKH par lauTna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.