yaad mein teri jo sine mein machal jate hain
yaad meñ terī jo siine meñ machal jaate haiñ
dard saare vahī ash.ār meñ Dhal jaate haiñ
jin ke pahlū meñ dhaḌaktā huā dil hotā hai
shiddat-e-ġham se vahī log pighal jaate haiñ
jo mahal chhoḌ ke chal dete haiñ gautam kī tarah
ādamiyyat kī vo taqdīr badal jaate haiñ
jaane kis qism kī tāsīr hai un chehroñ meñ
dekhne ko jinheñ ā.īne machal jaate haiñ
kaise kī jaa.e giraft un pe batāo dānish
vo ḳhayālāt jo hāthoñ se phisal jaate haiñ
yaad mein teri jo sine mein machal jate hain
dard sare wahi ashaar mein Dhal jate hain
jin ke pahlu mein dhaDakta hua dil hota hai
shiddat-e-gham se wahi log pighal jate hain
jo mahal chhoD ke chal dete hain gautam ki tarah
aadamiyyat ki wo taqdir badal jate hain
jaane kis qism ki tasir hai un chehron mein
dekhne ko jinhen aaine machal jate hain
kaise ki jae giraft un pe batao danish
wo KHayalat jo hathon se phisal jate hain
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 435)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.