ye dhuen ka ek ghera ki main jis mein rah raha hun
ye dhueñ kā ek gherā ki maiñ jis meñ rah rahā huuñ
mujhe kis qadar nayā hai maiñ jo dard sah rahā huuñ
ye zamīn tap rahī thī ye makān tap rahe the
tirā intizār thā jo maiñ usī jagah rahā huuñ
maiñ ThiThak gayā thā lekin tire saath saath thā maiñ
tū agar nadī huī to maiñ terī satah rahā huuñ
tire sar pe dhuup aa.ī to daraḳht ban gayā maiñ
tirī zindagī meñ aksar maiñ koī vajah rahā huuñ
kabhī dil meñ aarzū sā kabhī muñh meñ bad-duā sā
mujhe jis tarah bhī chāhā maiñ usī tarah rahā huuñ
mire dil pe haath rakkho mirī bebasī ko samjho
maiñ idhar se ban rahā huuñ maiñ udhar se Dheh rahā huuñ
yahāñ kaun dekhtā hai yahāñ kaun sochtā hai
ki ye baat kyā huī hai jo maiñ sher kah rahā huuñ
ye dhuen ka ek ghera ki main jis mein rah raha hun
mujhe kis qadar naya hai main jo dard sah raha hun
ye zamin tap rahi thi ye makan tap rahe the
tera intizar tha jo main usi jagah raha hun
main ThiThak gaya tha lekin tere sath sath tha main
tu agar nadi hui to main teri satah raha hun
tere sar pe dhup aai to daraKHt ban gaya main
teri zindagi mein aksar main koi wajah raha hun
kabhi dil mein aarzu sa kabhi munh mein bad-dua sa
mujhe jis tarah bhi chaha main usi tarah raha hun
mere dil pe hath rakkho meri bebasi ko samjho
main idhar se ban raha hun main udhar se Dheh raha hun
yahan kaun dekhta hai yahan kaun sochta hai
ki ye baat kya hui hai jo main sher kah raha hun
- Book : Saye mein dhoop (Pg. 53)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.