ye dil kya hai dekha dikhaya hua hai
ye dil kyā hai dekhā dikhāyā huā hai
magar dard kitnā samāyā huā hai
mirā dukh sunā chup rahe phir vo bole
ki ye raag pahle kā gaayā huā hai
jhalak bhar dikhā jaa.eñ bas un se kah do
koī ek darshan ko aayā havā hai
na pūchho yahāñ taap kī kyā kamī hai
sabhī kā hridai is meñ taayā huā hai
yahī dard thā jis ne tum se milāyā
ye yuuñ hī nahīñ jī ko bhāyā huā hai
gaḌhā maut kā hai nahīñ bharne vaalā
yahāñ an-ginat kā safāyā huā hai
'trilochan' sunāo hameñ gaan apne
jahāñ dard jī kā samāyā huā hai
ye dil kya hai dekha dikhaya hua hai
magar dard kitna samaya hua hai
mera dukh suna chup rahe phir wo bole
ki ye rag pahle ka gaya hua hai
jhalak bhar dikha jaen bas un se kah do
koi ek darshan ko aaya hawa hai
na puchho yahan tap ki kya kami hai
sabhi ka hridai is mein taya hua hai
yahi dard tha jis ne tum se milaya
ye yun hi nahin ji ko bhaya hua hai
gaDha maut ka hai nahin bharne wala
yahan an-ginat ka safaya hua hai
'trilochan' sunao hamein gan apne
jahan dard ji ka samaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.