ye lafz aaine hain mat inhen uchhaal ke chal
ye lafz aa.ine haiñ mat inheñ uchhāl ke chal
adab kī raah milī hai to dekh-bhāl ke chal
kahe jo tujh se use sun, amal bhī kar us par
ġhazal kī baat hai is ko na aise Taal ke chal
sabhī ke kaam meñ ā.eñge vaqt paḌne par,
tū apne saare tajarbe ġhazal meñ Dhaal ke chal
milī hai zindagī tujh ko isī hī maqsad se
sambhāl ḳhud ko bhī auroñ ko bhī sambhāl ke chal
ki us ke dar pe binā māñge sab hī miltā hai
chalā hai rab kī taraf to binā savāl ke chal
agar ye paañv meñ hote to chal bhī saktā thā
ye shuul dil meñ chubhe haiñ inheñ nikāl ke chal
tujhe bhī chaah ujāle ki hai, mujhe bhī 'kuñvar'
bujhe charāġh kahīñ hoñ to un ko baal ke chal
ye lafz aaine hain mat inhen uchhaal ke chal
adab ki rah mili hai to dekh-bhaal ke chal
kahe jo tujh se use sun, amal bhi kar us par
ghazal ki baat hai is ko na aise Tal ke chal
sabhi ke kaam mein aaenge waqt paDne par,
tu apne sare tajarbe ghazal mein Dhaal ke chal
mili hai zindagi tujh ko isi hi maqsad se
sambhaal KHud ko bhi auron ko bhi sambhaal ke chal
ki us ke dar pe bina mange sab hi milta hai
chala hai rab ki taraf to bina sawal ke chal
agar ye panw mein hote to chal bhi sakta tha
ye shul dil mein chubhe hain inhen nikal ke chal
tujhe bhi chah ujale ki hai, mujhe bhi 'kunwar'
bujhe charagh kahin hon to un ko baal ke chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.