ye mahke jism bahke dil baDi rangat ke din aae
ye mahke jism bahke dil baḌī rangat ke din aa.e
hamāre din ga.e duniyā meñ tab jannat ke din aa.e
kisī mahfil kisī jalve kisī but se nahīñ naata
paḌe haiñ ek kone meñ ajab fursat ke din aa.e
buzurgoñ meñ hamārā naam bhī shāmil huā shāyad
baḌī bad-nāmiyoñ ke saath ye shohrat ke din aa.e
khule gesū khule kañdhe khulī bāñheñ khile chehre
samundar kī havā sī be-jhijhak chāhat ke din aa.e
chalo 'rāhī' purāne dostoñ ke paas ho aa.eñ
tasallī dil kī kuchh to ho baḌī aafat ke din aa.e
ye mahke jism bahke dil baDi rangat ke din aae
hamare din gae duniya mein tab jannat ke din aae
kisi mahfil kisi jalwe kisi but se nahin nata
paDe hain ek kone mein ajab fursat ke din aae
buzurgon mein hamara nam bhi shamil hua shayad
baDi bad-namiyon ke sath ye shohrat ke din aae
khule gesu khule kandhe khuli banhen khile chehre
samundar ki hawa si be-jhijhak chahat ke din aae
chalo 'rahi' purane doston ke pas ho aaen
tasalli dil ki kuchh to ho baDi aafat ke din aae
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.