ye raushni hai haqiqat mein ek chhal logo
ye raushnī hai haqīqat meñ ek chhal logo
ki jaise jal meñ jhalaktā huā mahal logo
daraḳht haiñ to parinde nazar nahīñ aate
vo mustahiq haiñ vahī haq se be-daḳhal logo
vo ghar meñ mez pe kuhnī Tikā.e baiThe haiñ
thamī huī hai vahīñ umr āj-kal logo
kisī bhī qaum kī tārīḳh ke ujāle meñ
tumhāre din haiñ kisī raat kī naqal logo
tamām raat rahā mahv-e-ḳhvāb dīvāna
kisī kī niiñd meñ gaḌtā rahā ḳhalal logo
zarūr vo bhī isī rāste se guzre haiñ
har aadmī mujhe lagtā hai ham-shakal logo
dikhe jo paaoñ ke taaza nishān sahrā meñ
to yaad aa.e haiñ tālāb ke kañval logo
ve kah rahe haiñ ġhazal-go nahīñ rahe shā.er
maiñ sun rahā huuñ har ik samt se ġhazal logo
ye raushni hai haqiqat mein ek chhal logo
ki jaise jal mein jhalakta hua mahal logo
daraKHt hain to parinde nazar nahin aate
wo mustahiq hain wahi haq se be-daKHal logo
wo ghar mein mez pe kuhni Tikae baiThe hain
thami hui hai wahin umr aaj-kal logo
kisi bhi qaum ki tariKH ke ujale mein
tumhaare din hain kisi raat ki naqal logo
tamam raat raha mahw-e-KHwab diwana
kisi ki nind mein gaDta raha KHalal logo
zarur wo bhi isi raste se guzre hain
har aadmi mujhe lagta hai ham-shakal logo
dikhe jo paon ke taza nishan sahra mein
to yaad aae hain talab ke kanwal logo
we kah rahe hain ghazal-go nahin rahe shaer
main sun raha hun har ek samt se ghazal logo
- Book : Saye mein dhoop (Pg. 29)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.