ye safar bahar-surat tai mujhi ko karna hai
ye safar bahar-surat tai mujhi ko karna hai
Indr Mohan Mehta Kaif
MORE BYIndr Mohan Mehta Kaif
ye safar bahar-sūrat tai mujhī ko karnā hai
zaḳhm zaḳhm jiinā hai saañs saañs marnā hai
apnī kashtiyoñ ke sab bādbāñ girā Daalo
ek samt bahnā hai ek ghaaT utarnā hai
chāk-e-dil se dāman kā rabt kyuuñ baḌhāte ho
shahr chhoḌ dene tak shahr se guzarnā hai
āñdhiyoñ ke raste meñ bastiyāñ haiñ yādoñ kī
din simaT liye to kyā raat bhar bikharnā hai
'kaif' rāste kā vo moḌ abhī nahīñ aayā
qāfila umīdoñ kā jis jagah Thaharnā hai
ye safar bahar-surat tai mujhi ko karna hai
zaKHm zaKHm jina hai sans sans marna hai
apni kashtiyon ke sab baadban gira Dalo
ek samt bahna hai ek ghaT utarna hai
chaak-e-dil se daman ka rabt kyun baDhate ho
shahr chhoD dene tak shahr se guzarna hai
aandhiyon ke raste mein bastiyan hain yaadon ki
din simaT liye to kya raat bhar bikharna hai
'kaif' raste ka wo moD abhi nahin aaya
qafila umidon ka jis jagah Thaharna hai
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.