zinda chehre bhi badal jate hain taswiron mein
zinda chehre bhī badal jaate haiñ tasvīroñ meñ
peḌ marte haiñ to Dhal jaate haiñ shahtīroñ meñ
umr le jaatī hai chehre kā chamaktā paanī
zang lag jaatā hai Thahrī huī shamshīroñ meñ
shaam jalse meñ bahut shor thā hangāma thā
ek chiḌiyā kī chahak kho ga.ī taqdīroñ meñ
tum inheñ baañT ke ḳhud ḳhatm karoge ḳhud ko
zaḳhm bhī baTte haiñ baTtī huī jāgīroñ meñ
maiñ to lohā huuñ kaho aag pe rakhne vaalo
mujh ko auzāroñ meñ Dhāloge ki zanjīroñ meñ
zinda chehre bhi badal jate hain taswiron mein
peD marte hain to Dhal jate hain shahtiron mein
umr le jati hai chehre ka chamakta pani
zang lag jata hai Thahri hui shamshiron mein
sham jalse mein bahut shor tha hangama tha
ek chiDiya ki chahak kho gai taqdiron mein
tum inhen banT ke KHud KHatm karoge KHud ko
zaKHm bhi baTte hain baTti hui jagiron mein
main to loha hun kaho aag pe rakhne walo
mujh ko auzaron mein Dhaaloge ki zanjiron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.