zindagi aas ki duniya ka sanwar jaana hai
zindagi aas ki duniya ka sanwar jaana hai
Swami Shyamanand Saraswati Roshan
MORE BYSwami Shyamanand Saraswati Roshan
zindagī aas kī duniyā kā sañvar jaanā hai
maut insān ke sapnoñ kā bikhar jaanā hai
ham se kyā pūchhte ho ham ko kidhar jaanā hai
ham to ḳhushbū haiñ bahar-hāl bikhar jaanā hai
ham to ḳhushbū haiñ bahar-hāl bikhar jaanā hai
aur ḳhushbū kā bikhar jaanā sañvar jaanā hai
zinda rahnā hai to marne kā salīqa sīkho
varna marne ko to har vyakti ko mar jaanā hai
zindagī kyā hai musāfir kā nirantar chalnā
maut chalte hue raahī kā Thahar jaanā hai
aap auroñ ke hunar ko bhī nahīñ kahte hunar
ham ne to aap ke aiboñ ko hunar jaanā hai
pyaar kī raah meñ kāñTeñ hoñ ki sho.ale 'raushan'
ham guzar jā.eñge ham ko to guzar jaanā hai
zindagi aas ki duniya ka sanwar jaana hai
maut insan ke sapnon ka bikhar jaana hai
hum se kya puchhte ho hum ko kidhar jaana hai
hum to KHushbu hain bahar-haal bikhar jaana hai
hum to KHushbu hain bahar-haal bikhar jaana hai
aur KHushbu ka bikhar jaana sanwar jaana hai
zinda rahna hai to marne ka saliqa sikho
warna marne ko to har wyakti ko mar jaana hai
zindagi kya hai musafir ka nirantar chalna
maut chalte hue rahi ka Thahar jaana hai
aap auron ke hunar ko bhi nahin kahte hunar
hum ne to aap ke aibon ko hunar jaana hai
pyar ki rah mein kanTen hon ki shoale 'raushan'
hum guzar jaenge hum ko to guzar jaana hai
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.