zindagi ke daman mein ek KHushi nahin aai
zindagī ke dāman meñ ik ḳhushī nahīñ aa.ī
is liye to chehre par tāzgī nahīñ aa.ī
jhuuT meñ chhupe maiñ ne sach ke raaz khole haiñ
kam-suḳhan the vo jin se daad bhī nahīñ aa.ī
us ke hī tasavvur meñ jal rahā huuñ muddat se
jaane kyoñ use merī yaad hī nahīñ aa.ī
ḳhūn-e-dil se sīñchā hai maiñ ne terī chāhat ko
haiñ sabhī nazāroñ meñ tū kabhī nahīñ aa.ī
tere husn kī ḳhūbī maiñ bayāñ na kar paayā
dard-e-dil milā mujh ko shā'irī nahīñ aa.ī
us kī kajravī āñkheñ jab se mil ga.iiñ mujh se
dostoñ usī shab se niiñd hī nahīñ aa.ī
intizār dil ko bhī muddatoñ se hai jis kā
gul nahīñ khilā 'ātish' vo kalī nahīñ aa.ī
zindagi ke daman mein ek KHushi nahin aai
is liye to chehre par tazgi nahin aai
jhuT mein chhupe main ne sach ke raaz khole hain
kam-suKHan the wo jin se dad bhi nahin aai
us ke hi tasawwur mein jal raha hun muddat se
jaane kyon use meri yaad hi nahin aai
KHun-e-dil se sincha hai main ne teri chahat ko
hain sabhi nazaron mein tu kabhi nahin aai
tere husn ki KHubi main bayan na kar paya
dard-e-dil mila mujh ko sha'iri nahin aai
us ki kajrawi aankhen jab se mil gain mujh se
doston usi shab se nind hi nahin aai
intizar dil ko bhi muddaton se hai jis ka
gul nahin khila 'atish' wo kali nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.