kis nur ki majlis mein meri jalwagari hai
kis nur ki majlis mein meri jalwagari hai
Meer Muzaffar Husain Zameer
MORE BYMeer Muzaffar Husain Zameer
kis nuur kī majlis meñ mirī jalvagarī hai
kis nuur kī majlis meñ mirī jalvagarī hai
jis nuur se pur-nūr ye nūr-e-nazarī hai
aamad hī meñ hairān qayās-e-bashrī hai
ye kaun sī tasvīr-e-tajallī se bharī hai
go husn kā rutba nahīñ mazkūr huā hai
mimbar mirā ham-martaba-e-tūr huā hai
sad shukr ki majlis marī mushtāq-e-suḳhan hai
ye faiz-e-ināyāt-e-husain aur hasan hai
phir josh-e-javānī pe marī tab.a-e-kuhan hai
ye quvvat-e-imdād shah-e-tishna-dahan hai
naqqāsh meñ ye san.at-e-tahrīr nahīñ hai
tasvīr dikhātā huuñ ye taqrīr nahīñ hai
naqqāsh to kartā hai qalam le ke ye tadbīr
ik shakl na.ī safha-e-qirtās pe tahrīr
insāf karo kilk-e-zabāñ se dam-e-tahrīr
maiñ safha-e-bātin meñ raqam kartā huuñ tasvīr
sau rañg se tasvīr musavvir ne bharī hai
rañgīni-e-mazmūñ kī kahāñ jalvagarī hai
tasvīr maiñ us shaḳhs kī huuñ tum ko dikhātā
jo sānī-e-mahbūb-e-ilāhī hai kahātā
ik nuur jo jaatā hai to ik nuur hai aatā
vaj.h-e-adam-e-sāya-e-ahmad huuñ sunātā
thā ba.ad-e-mohammad ke jo aayā alī akbar
thā ahmad-e-muḳhtār kā saaya alī akbar
yaañ tak suḳhan-e-tāza kiyā tab.a ne paidā
vo nūr-e-nabī aur nabī nūr-e-ḳhudā kā
ye silsila-e-nūr kahāñ jā ke hai pahuñchā
akbar ko jo dekhā to batāo kise dekhā
vallāh ziyārat kā sazā-vār hai akbar
nemul-badal ahmad0-e-muḳhtār hai akbar
lekin tumheñ tasvīr ye kartī hai ishārat
haañ majlisiyāñ roza-e-jannat kī bashārat
ho mahv-e-tahārat hai agar qasd-e-ziyārat
hai lāzim-o-malzūm ziyārat ko tahārat
is qasd pe baiThe ho jo sāhib-e-nazaro tum
tajdīd-e-vazū ashk ke paanī se karo tum
likhā hai ki thī hazrat-e-shabbīr ko aadat
hotī thī namāz-e-sahrī se jo farāġhat
pahle alī akbar hī ko bulvāte the hazrat
farmāte the kartā huuñ ibādat meñ ibādat
raushan ho na kyuuñ chashm-e-husain ibn-e-alī
kartā huuñ ziyārat meñ jamāl-e-nubvī kī
karte alī akbar to jhukā farq ko mujrā
har martaba mil jaatā thā paañv se sar un kā
kis nur ki majlis mein meri jalwagari hai
kis nur ki majlis mein meri jalwagari hai
jis nur se pur-nur ye nur-e-nazari hai
aamad hi mein hairan qayas-e-bashri hai
ye kaun si taswir-e-tajalli se bhari hai
go husn ka rutba nahin mazkur hua hai
mimbar mera ham-martaba-e-tur hua hai
sad shukr ki majlis mari mushtaq-e-suKHan hai
ye faiz-e-inayat-e-husain aur hasan hai
phir josh-e-jawani pe mari taba-e-kuhan hai
ye quwwat-e-imdad shah-e-tishna-dahan hai
naqqash mein ye sanat-e-tahrir nahin hai
taswir dikhata hun ye taqrir nahin hai
naqqash to karta hai qalam le ke ye tadbir
ek shakl nai safha-e-qirtas pe tahrir
insaf karo kilk-e-zaban se dam-e-tahrir
main safha-e-baatin mein raqam karta hun taswir
sau rang se taswir musawwir ne bhari hai
rangini-e-mazmun ki kahan jalwagari hai
taswir main us shaKHs ki hun tum ko dikhata
jo sani-e-mahbub-e-ilahi hai kahata
ek nur jo jata hai to ek nur hai aata
wajh-e-adam-e-saya-e-ahmad hun sunata
tha baad-e-mohammad ke jo aaya ali akbar
tha ahmad-e-muKHtar ka saya ali akbar
yan tak suKHan-e-taza kiya taba ne paida
wo nur-e-nabi aur nabi nur-e-KHuda ka
ye silsila-e-nur kahan ja ke hai pahuncha
akbar ko jo dekha to batao kise dekha
wallah ziyarat ka saza-war hai akbar
nemul-badal ahmad0-e-muKHtar hai akbar
lekin tumhein taswir ye karti hai ishaarat
han majlisiyan roza-e-jannat ki bashaarat
ho mahw-e-tahaarat hai agar qasd-e-ziyarat
hai lazim-o-malzum ziyarat ko tahaarat
is qasd pe baiThe ho jo sahib-e-nazaro tum
tajdid-e-wazu ashk ke pani se karo tum
likha hai ki thi hazrat-e-shabbir ko aadat
hoti thi namaz-e-sahri se jo faraghat
pahle ali akbar hi ko bulwate the hazrat
farmate the karta hun ibaadat mein ibaadat
raushan ho na kyun chashm-e-husain ibn-e-ali
karta hun ziyarat mein jamal-e-nubwi ki
karte ali akbar to jhuka farq ko mujra
har martaba mil jata tha panw se sar un ka
- Book : Intikhab-e-maraasee (Pg. 11)
- Author : mahmood ilaahii
- Publication : uttar pradesh urdu academy (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.