aa chuka stage par shola-badan apni jagah
aa chukā stage par sho'la-badan apnī jagah
kaise baiTheñ ḳhāmushī se mard-o-zan apnī jagah
sirf thoḌā sā unheñ ġhussa dilā detā huuñ maiñ
ḳhud banā letī hai māthe par shikan apnī jagah
jaane kyā hogā mire dūlhā kā ab radd-e-'amal
Dar rahī hai dho ke chehre ko dulhan apnī jagah
ramz kal mujh par ayaañ kī ek business-man ne
kārobār apnī jagah hubb-e-vatan apnī jagah
terā ye e'zāz hai ki uTh khaḌe hote haiñ log
kaun varna chhoḌtā hai jān-e-man apnī jagah
ahl-e-dil pahle badalte haiñ nazar kā zā.iqa
baa'd meñ phir lazzat-e-kām-o-dahan apnī jagah
daad de saktā huuñ par be-vazn kah saktā nahīñ
husn-e-zan apnī jagah mashq-e-suḳhan apnī jagah
aa chuka stage par sho'la-badan apni jagah
kaise baiThen KHamushi se mard-o-zan apni jagah
sirf thoDa sa unhen ghussa dila deta hun main
KHud bana leti hai mathe par shikan apni jagah
jaane kya hoga mere dulha ka ab radd-e-'amal
Dar rahi hai dho ke chehre ko dulhan apni jagah
ramz kal mujh par ayan ki ek business-man ne
karobar apni jagah hubb-e-watan apni jagah
tera ye e'zaz hai ki uTh khaDe hote hain log
kaun warna chhoDta hai jaan-e-man apni jagah
ahl-e-dil pahle badalte hain nazar ka zaiqa
ba'd mein phir lazzat-e-kaam-o-dahan apni jagah
dad de sakta hun par be-wazn kah sakta nahin
husn-e-zan apni jagah mashq-e-suKHan apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.