ada kiya tha jo maine us ka udhaar aadha
adā kiyā thā jo maiñ ne us kā udhār aadhā
jabhī se to us ko rah gayā e'tibār aadhā
ye ham jo biivī ko aadhī tanḳhvāh de rahe haiñ
to daal ko bhī vo de rahī hai baghār aadhā
zarūr miTTī kā tel saaqī pilā gayā hai
jo puure sāġhar se ho rahā hai ḳhumār aadhā
agar tirā haath dil pe hotā to kyā na hotā
ki nabz dekhī to rah gayā hai buḳhār aadhā
vo zahr meñ Daal kar vitamin bhī de rahā hai
to is se zāhir hai us kī nafrat meñ pyaar aadhā
ye aadhī chilman hai yā mirī aañkh meñ hai jaalā
dikhā.ī kyoñ de rahā hai rū-e-nigār aadhā
vo saas ab kitnī martaba martabān jhāñke
bahū to do din meñ khā ga.ī hai achār aadhā
vo halq meñ chhāliya ke phañsne se mar gayā hai
abhī to 'jaidī' gayā na thā sū-e-dār aadhā
ada kiya tha jo main ne us ka udhaar aadha
jabhi se to us ko rah gaya e'tibar aadha
ye hum jo biwi ko aadhi tanKHwah de rahe hain
to dal ko bhi wo de rahi hai baghaar aadha
zarur miTTi ka tel saqi pila gaya hai
jo pure saghar se ho raha hai KHumar aadha
agar tera hath dil pe hota to kya na hota
ki nabz dekhi to rah gaya hai buKHar aadha
wo zahr mein Dal kar witamin bhi de raha hai
to is se zahir hai us ki nafrat mein pyar aadha
ye aadhi chilman hai ya meri aankh mein hai jala
dikhai kyon de raha hai ru-e-nigar aadha
wo sas ab kitni martaba martaban jhanke
bahu to do din mein kha gai hai achaar aadha
wo halq mein chhaaliya ke phansne se mar gaya hai
abhi to 'jaidi' gaya na tha su-e-dar aadha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.